Hidden Dilemma
Intro:
sach ko hakikat mein badalte huwe dekha
halat badle to logo ko palat te huwe dekha
kismat ko muh ke samne mukarte huwe dekha
karma is a bitch and thats what she said
Verse 1:
Mehnat karke haara hu to deta aankhon mein roshni wahi
haarke lagaya hai baazi dusro ko deta aab tawaju nhi
kitne taane ko kara andekha, mera likhai unko de jawaab
maa ki khwaishe thi zinda isliye mere junoon ka dag mita nhi
shaurat bike in bazaron mein
yaha kala ki keemat deta koi nhi
har raat kate meri isi soch mein
ki maut mere kab gale lagayegi
in haathon mein bachi kuchi jaan lagadu,
krta kisi ki parwah nhi
tokne wale yaha bohut milenge
par manzil ko khudse dur rakhna nhi
Bridge:-
kabhi na chora maine apna manzil ye
kabhi na adat banaya hasrat ko
kabhi na kamiyaan kavi k nazar se
dekha apne aap k kabiliyat ko
ladhta rahunga ye soch tha
har na man ne ka shauk tha
rap se beta ghar se banayega
jawaab mera hustle karne ka bhook tha
verse 2:
Andha nhi charitra mera, pher bhi kyu saare yaha bhare andhbhakt
Dosh nhi kabhi deta khudko, ajkal mai sehta nhi hu sadaqat
Log samay ka dam na dekhte kabhi bas phek k marte hai kahavat
Jawab to hazir hote mere par mushkil waqt na aate batakar
shuru se rakhta tha bade khawab isse sirf mai he vaaqif hu
bade baap k eklauta beta sabko lagta mai launda kafi shatir hu
Ghar pe bhej k Aya Paisa iska mtlb kya ummedon Pe nadir hu
Nafrat ko mar giraya uske khatir kya aab uske liye kabil hu ?
17 saal ka ek ladka jisne dekhe bade sapne kabhi
lekin abhi apne hath se he dafan kr rha apne khwab ko
uski bhi koi galti nhi iss keemat nhi yaha karm ki
18 ka hoke seekha ki usko woh sapne dikhane apne maa ko
Comments
Post a Comment