unknown
Shikayat - Flexin
koi shabd bayaan krne se mukarte hai
koi bayaan rakhne se darte hai
khuda jaane mera kya usool hai
tere khatir to jeena seekha hai
tu mujhe khoya hua chaahat lage
mai tujhme apni duniya dekhu
paya to maine kuch nhi tha khone ko boht kuch hai ,lekin
ghum se fursat kaha mile log muskarane ki wajah kyu puche
mai likh chuka kisse kitaab k barabaar
par vaaqif nhi jinse wahi puche mera khabar
tere naam se basti hai pura ek afsanay mera
ye kaisi tanhai mein jee rha hu akhir mai
jaha har samay teri talaab se guftgu he sawera mera
hal-e-dil bas naam se jaane mera dard
lekin woh kaisa kitaab jiske panno mein bas likha naam tera
tere khwabon ka aasra lagta hu bas
par mere har duwa mein naam hai tera
ye zamane se matlab mat rakhna kabhi
bas kabhi apna maano to bas naam yaad krna mera
Comments
Post a Comment