9:27
9:27 - Flexin
Flexin - 9:27
Intro:
"The first sign of a beginner of life long journal is understanding and accepting the wish to die"
"I was always said never judge the race or look who is winning you may admire it but just focus"
"I slowly began to understand that the meaning of life is that it stops"
Hook:
Log kehte rakho mazbut apne sapne aur iraadey ko
Jazbaati na bano kho do ge apne he pehchan ko
Kabhi havi nhi hone saaf rakho apne mansha ko
Harna sikha nhi samarpit apne jaan ko
Verse 1:
Apne wale gair nhi woh himmat hai jaatate
Woh apne he nhi jo jinki lamhe roz saatate
Apne walon se na khairiyat rakhna kabhi hai zaruri
To gairon mein kya mai kya kami woh bas duri hai banate
Khush duniya k samne aur akele mein bas gumnaami
Na fanah hone wali aankhon mein kuch khamiya abhi baaki
ek dafa manzar pe teer maro taqdeer mein na thi likhayi
Man kare muh pe kehdu ki apne duniya kaha dekhi
maut ko itne kareeb se dekh ka aya khudse
sapno ko chor k sapno se jeena bhi aab seekhe
mai zakhm likhu gaano mein log masterpiece kahe use
par shi waqt he jatayega kya khamiyaan hai mujhme
[Hook]
Bridge:
Samay ka daam dekh chote
Na chor ye mauke kabhi hath se
Maut k baad he ata hai sabke faisle
Marna likha taqdeer mein ye na koi hadse
Jo gunah kar chuka hai pehle janam mein
Unse Naa aab koi fariyaad mujhe
Aur aane wale daur se koi mtlb nhi
Atay honge to usko aab aane de
Verse 2:
Lakeer mit gayi thi hum kal ki soch me kho gaye
taqdeer pe bharosa rakhne wale bhi himmat apna kho chuke
dhunde to Jannat bhi mile hum dharti lok me he fas chuke
ek disha se tha muntazir, alvida kehna he hum bhool gaye
Tanaav Mehsoos hoti nhi umeed jaan gawa baitha
saanse to chalte hai par saanse imtehaan hai leta
tanhai k chalte akelapan mein ghut rha tha
saha nhi gaya mujhe dekh deware bhi bolne laga
khone kuch nhi bacha to keemat bas ladhne ki
lekin faisla to ayega qayamat ho jaaye zindagi
2 kauri ka shayar he shi lekin ye shi baateein bhi kehta hai, jo
asli mein mard wahi pareshani chup chap sehta hai
Comments
Post a Comment