3AM in SLG
Down to Earth - Flexin
verse 1:
sochne ka samay ya daur nhi
par rukawaton k liye afsos nhi
jaan halak mein aye waqt ki kimat samjhaye
apne wale humesha nahi hote sahi
Meri Existent kya teri feeling batade sab
Tale tod k nikle meri likhi huwi khat
chal para dur kahi Searching for a better me
Downfall feels real mujhe chaiye nhi prophecy
Dhundne pe milta yaha andhere mein chav bhi
Chub rhe aaj tere hisse k woh ghav bhi
Soch mein dooba zakhm aaj bhi hai taazi
wakt shi Par Muskil mein kare na bachav koi
atit ka zamana chod aya pehle hi
17 saal jee kaise jee liye iss vehem mein
har din raat guzar jaata palak jhapakte hi
gehri neend nhi, I was in my own pain
shauk mere bhi bare the,
kabhi pura kar he nah saka
hath dub chuka pasina aur lahu mein
uss fal k intezar mein ban chuka khafa
kya mera kabhi ahmiyat tha
kya mai kisi k liye maine tha
kya ye khuda ke rehmati hai
ya mujhe isi jagah hona chaiye tha
Bridge:
nazar chupaye bina likhe sab asliyat ban chuka mai ek aaine sa
nazar kya dusre k dhundli bane aur mai dikhta aab sabko alag sa
andhera aur raat kya he hai mein kabhi farak samajh he nah paya
aur uss rote huwe deewar k liye apne aap se kabhi kuch kar he nah paya
Comments
Post a Comment