3AM IN SILIGURI

Flexin - 3AM in Siliguri

(Intro to story line)
kabhi kabhi zehen mein junoon dikhe
mere hidayat k falon mujhe usool mile
asaan nhi kehna par tajir khudke khoon ka
karu masle kaise hal jab mere hashr ko na koi faisla mile

sheher mere khas ye kabhi bhi sota nhi
bekarar rehte saare koi bara ya chota nhi
waqt sabse bura fakar lekin mausam bilkul nadaan, yaha 
navaazish bas ek lehez hai sab yaha koi jhoota nhi

har jagah itni khushbo faili sheher ki noor ki
hakikat badli hai bohut aur bachpan guzari he aisi
nazakat badlo mat janaab fazail uthao is shikqast ki
doob jayu iss mehez aur jeelo apni zindagi

#(Bridged Line:)
par ek pal k liye laga mai kisi liye bana nhi
kabhi apne jaan ki keemat mai samjha nhi
sikke jaise insaan k bhi do pehlu hai maine dekhe
kabhi bayaan na kar paya meri dabi huwi kahani 

(Story Switch)
fikar hoti tere bare mein aab mai kya kahu
tujhme sau husn k roop to mai kya likhu
mujhe lagti tu he behtar sabke nazron se
tere khatir mai hazar dard mai sahu

dil toote kayi bar aur manzil laga bohut door
was in peace at 3AM in a bliss of heart tour 
sawaal kya karu mai sabke haq mein badnaam hu
kya raabta rakhu mera dukh mujhe mile huba hu

mera dard aab mere man pe havi rehta
kuch na kahu par lihaaz ha hamesha se chahta
sapne mein bhi struggle aisi shiddat se hai chalta
Jaise khone ko kuch nhi par mukhtalif fal mere mehnat ka 




Comments

Popular posts from this blog

unknown