The Last Hope - I am not Okay (Official Lyrics)


Verse 1: (Alpha)


Ye baat hai tab ki jab tha mai 12 wi kaksha me

galat parinam huwa tha mila tha shiksha anek

bhatka apne raste se khoya manzil ka naksha, mai

banda introvert shakal se par kismat gajab sa hai


sablog bas dekhta raha safalta paate huwe

khud jeeta har din nakamiyabi ke ghum mein

kosta hu apne aap ko, tune kyu kiya kra galtiya 2 saal tak

sawaal ek he mere man mein, iska zimmedar kaun hai ?


bhatka musafir main apne sapno k nadiyon mein

par akhir bana khudme he talab main 

chaabi nhi mili manzil ki iss uljhan mein

neend ur chuki yahi aab khayal mein


akhir krna kya hai mujhe iss vichar me rehta tha

sab logo ko kadam rakhte huwe andar se mai tut chuka 

mehnat krke bhi hasil nhi huwa kuch bhi, to raat mein

akele bandh kamre me tanhai mein maa ki yaad mein rota tha


Hook:


Aab Jeena ha kyu ? mujhe jeena he kyu ?

umar he tha bas aab wo bhi nhi

Aab Jeena nhi, mujhe jeena nhi !

mere iss zakham ka dawa aab waqt bhi nhi


Verse 2: (Flexin)


Mujhe tha fikar nai aab log kya kahenge

ye bhi ho skta ki ye batane ko kabhi hum bhi na rahe

qatil hu khudke he sharir ka nhi chaiye saza mujhe

umeed ka pahar mere upar aur sabko lagta ye bohut asan hai


duwa nhi dawai ki zarurat hai aab mujhe 

tu khushkismat hai pyaar krne wala ladka mila tujhe

zarurat nhi jhoote humdardi ki ye saaf relate kr pa rha hu

jab afkap ne bola tha dosti bhi aab bojh ban chuki ha


jhoota dilasa dilaya tha, ye bolke samay ate sab thik ho jayega

ghav the purane par aab bhi saaf nazar ate hain

tune he bola tha tujhe koi ladki nhi milegi

kyuki tu vehem me jee rhi thi, hakikat ek din khilega


agar hai tu sukoon mein, iska mtlb dikhawa zaroori nhi hai

choices were in your hands, akhir tu khud me majboori to nhi hai

krle flex jitna krna hai tujhe, kyuki tujhe kya pata

wasiyat nibhane, ghar chalane mein, zimmedari kaisi hoti hai


2 kadam age jab aya banaya khudko is qadar

ek dafa mai khudse tha hairan aur khush hu apne qabiliyat pe

Jo roz marte the taane ab bhatakte nhi aspas bhi, 

tab pata chala ki jhoote dost aur ladki ek saman hai


Hook:


Aab Jeena ha kyu ? mujhe jeena he kyu ?

umar he tha bas aab wo bhi nhi

Aab Jeena nhi, mujhe jeena nhi !

mere iss zakham ka dawa aab waqt bhi nhi


Outro: 

"Patience nurtures the seeds of hard work, allowing them to bloom into the fruits of success"

"Behind every unsuccesful man there is also a woman in mastermind"

"I dont claim it really but, unless you see the network behind it unless you discover how slow poisoning works"

"You will never how they claim your spot knowingly giving unfair advantage in the society"

Comments

Popular posts from this blog

unknown