Real World

Real World - The Last Hope (Official Lyrics)

Verse 1: (Flexin)

Pareshaniya hoti to khudko he samjhata rehta
hota jab akela khudse ek bar bhi nhi puchta 
zarurat padhne par humdardi dikhana he agar tujhe
to shukar mana unka Jinhone jaan dedi teri sapno k liye

aab to karta nhi parwah kisi ka sare gair zimmedar ye
jhute kasmo me jaane ka shauq pal rakhe saare
mushkile sare bhade pare jawaab mere ummedo pe
kos rha khudko kabtak bhagega tu apne kandho ke wazano se

safar ye asan nhi yaha tokne wale bohut milenge
iss jung me shamil tere se zyada bhi log shatir honge
jab tak pata chalega tere khilaf sajish bun rhi ha
khamoshi ek he mtlb manzil tere pas nhi ha

prashna sare ghire mere maan me
kya iss musibaat ka ant hai mere samne
soch me dooba aur mere hath bhi aab kapte
safal hone k liye sab galat raste pe kyu bhagte

tujhe lagega kabhi tere khwaishe bandhe janziro mein
lagega ye bhi galat paidayish apne lakeero se
hakikat ko jhutlakar samna kar apne muskilo se 
hone ko bohut kuch hoga jo likha tere taqdeero mein

Pre Chorus: (Flexin x Alpha)
"Haqiqat wo nhi jo tere aankhon k pardo k samne hai"
"Haqiqat woh nhi jo tujhse chupaya gaya ha apne jeevan kal mein"
"bas sach baat woh hai jo kabhi mehsoos nhi huwa tujhe"
"haqiqat woh tha jo tere gair maujootgi me tere aankhon k piche chal rha hai"
Alpha !

Verse 2: (ALpha)

Ladte jana tujhe khudse tujhe zamane ki fikar nhi
iss shanghars me tera koi apna aur saga nhi
Kuch bahushrut insaan tujhe bohut kuch bolenge, ki
ladke aur mard to kabhi bhi rote nhi

asuyo me baha diye bohut dukh, aab
hone ko talne ki himmat bhi nhi bacha
afsos aab daba diye sari bateein, jo bolna tha
aab wo purane yaadon jaisa mai ban chuka khafa

khayalat sochte huwe neend ur chuke
zehen me daabi sach ko sab bhul chuke
Jab khusi nhi milti kisi chiz ko pane ki,to real ones
puche to phir ghum kyu kisi chiz ko khone ki

samay ye mulyabaan ise vyaarth na kiya kabhi
pher bhi jo mila faal mehnat ka woh meetha nhi
sach ki khoj me jhuti baate daabi mili
Jab Talha Anjum ne bola tha insaan me bhi wafa nhi

kho diye wo saare rishte zamane ki fikar me
kya he khusi aur dukh farak kabhi samjha nhi
umeede pheeki par chuki thi par pher ek roshni dikhi
Jab Papa haste huye bole beta himmat kabhi bhi harna nhi

Outro: (Flexin)
"I felt his words fr and never looked back"
"He ended by saying, ("Hope is the beacon of light that guides us through the darkest of times")"
"It empowers us to conquer adversity and illuminate our path to brighter tomorrows."

Comments

Popular posts from this blog

Jeena Seekha De

Could Have ?